gazal--by Jagjit singh

Apni Marzi Se Kahan Apni Safar Ke Hum Hai
Rukh Hawaaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Hum Hain
Pehle Har Cheez Thi Apni Magar Ab Lagta Hai
Apne Hi Ghar Mein Kisi Doosre Ghar Ke Hum Hain
Waqt Ke Saath Mitti Ka Safar Sadiyon Se
Kisko Maaloom Kahan Ke Hain Kidhar Ke Hum Hain
Chalte Rehte Hain Ke Chalnaa Hai Musaafir Ka Naseeb
Sochte Rehte Hain Kis Raah Guzar Ke Hum Hain

Comments

वर्षा said…
कॉलेज के दिनों में बहुत सुनी ये ग़ज़ल जगजीत सिंह की आवाज़ में। पहली दो पंक्तियां ख़ासतौर पर पसंद हैं।
Chalnaa Hai Musaafir Ka Naseeb
..........
kafi kuch chhupa hai is ek pankti me
bahut achha laga tumhe padhna
Anonymous said…
this is one of my favorite ghazal, and litterally I am a mad admirer of jagjit and chitra.
itismeavd@rediffmail.com

Popular posts from this blog

HOLI

chand